funnels kya hai? Funnels ko samajhne se pehle hum yeh samajh lete hai ki "Conversion" kya cheez hai. Basically Funnel ek set of steps hai.
Agar aapne kabhi Marketing ke bare mein padha hoga ya marketing ke bare
mein research ki hogi toh shayad aapne bahut bar funnels ya funnel marketing nam ke shabd ko suna hoga. Agar aap janna chahte hai ki yah cheez
kaise kam karti hai toh yah blog post aapke liye hai.
Funnel Kya Hai?
Funnels ko samajhne se pehle hum yeh samajh lete hai ki
"Conversion" kya cheez hai, Conversion ka matlab hai ki, jab bhi koi
visitor aapke website mein aata hai aur aapke website ke andar kuch action
leta hai jaise ki aapke website par kuch saman kharidna, aapke website par
sign up karna, koi form fill-up karna, ya fir koi bhi action ji aapke
website par kia ja raha hai, aur jo ki aapke website ka main uddeshya hai
use hi conversion kahte hai.
Agar simple shabd mein samjhe toh conversion matlab jab bhi koi
visitor aapke website par aakar browsing se direct action lene mein
convert ho jata hai.
Basically Funnel ek set of steps hai jisse har visitors ko pass hona padhta
hai conversion tak aane ke liye.Udaharan ke liye hum Flipkart Funnel ko lete hai, jese ki kuch steps
hai jise visitors ko follow karna padhta hai kuch bhi saman kharidne se
pehle :
- Visitors ko pehle Flipkart.com mein jana hoga
- Visitors ko product khojna hoga
- Jo bhi product ho use cart mein add karna hoga
- Fir payment karke product ko kharidna hoga
Aur bhi kai sare alag steps hai jo hum khaate mein le sakte hai but jab
hum purchasing funnel(kharidne ya bachne wali funnel) ki baat
karte hai tab yah steps utna matter nahi karta hai. For example,
"Flipkart.com" ke andarmein bhi bahut sare pages honge jese ki About us,
Contact us, Privacy policy, and Careers page but hum inko funnel mein
count nahi karte kyunki yah steps itna important nahi hai.
Hum in steps ko funnel kyun kahte hai?
Hum in steps ko Funnel isliye kehte hai kyunki jo Conversion wala process hai usse pehle bahut sare visitors aate hai website
par aur pehla wala step pura kar lete hai but jaise-jaise vah visitors
continue karte jaate hain next step ke liye unmein se bahut sare
visitors khud se hi is process se nikal jaate hai aur dhire dhire jo
visitors ki bheed hai vah kam hoti jata hai ya dusre shabd meh bole toh
sankreen ho jati hai, aur jab hum is data ko graph mein utarte hai toh vah ek keep ke aakaar
mein ban jata hai jise hum English meh Funnel kehte hai.
Jo sabse upari hissa hai waha sabse jada visitors aate hai aur unmain se
jo sabse jada interested kharidar hote hai vah log hi aage badhte jaate
hai ekdom funnel ke niche tak.
Jitna jyada aapka funnel chauda hoga aapke liye utna hi acha rahega
kyunki tab jada se jada visitors aapke website par ayenge, isiliye hum
kehte hai ki aapko apne funnel ko jitna ho sake utna chauda banana
chahiye.
Hum apne Funnel ko chauda kaise kare?
Humain apne product ke vigyapan ka bahut bada jaal bichana hoga jisse
jitne bhi naye visitors/customers hai vah humare product ke taraf
aakarshit ho aur jaise-jaise logon ki bheed badhti jayegi humara jo Funnel
hai vah chauda hota jayega aur humain yeh bhi sunishchit karna hai jo
humara jaal hai vah bahut majboot ho yani ki jo humara vigyapan hai jisse
hum logon mein jagrukta layenge vah bahut sateek ho aur logon ko pasand
aaye.
Funnel Marketing Ke Charan.
Funnels, Marketing mein kaise kam karti hai yeh batane se pehle main
aapko ek baat clear kar dena chahta hun ki Internet Funnel Marketing, Sales Funnel Marketing, Digital Funnel
Marketing lagbhag same hai aur inka kam karne ka jo process hai vah bhi lagbhag
same hai.
Jab bhi koi vyakti aapke product ya service ke bare mein sunta hai,
us pal se jab tak vah vyakti use kharid le (ya fir na kharide) us
samay ke doran vah vyakti aapke Funnels ke kuch vibhinn charano se
gujarta hai. Har ek vyakti ke liye yeh yatra alag alag hoga jo ki
bilkul unke interest level par nirbhar karega aur agar aap un logon
ke problem ka sahi aur acha solution pradan karenge toh usmain aapka
profit hoga kyunki tab vah aapki hi product ya service ko choose
karega.
Funnels ke 4 mukhya charan hote hai
1. Awareness/Jagrukta
Awareness (Jagrukta) sabse pehla charan hai ek Funnel ka kyunki
isi charan par logon ko aapke ke product ya service ke bare meh
jankari milti hai. Logon ko aapke bare meh jankari social media
duara, vigyapan duara, ya kisi vyakti ke duara bhi mil sakti
hai.
Kyun aur kaise yah log aapke Funnel mein aage badhenge yah
nirbhar karta hai aapke sales ke upar aur aapke marketing skills
ke upar.
2. Interest/Dilchaspi
Jab logon ko aapke brand ya company ke bare mein pata lag jayega
vah apne interest ke upar aapke ke product ko ya fir aapke service
ko jaanch karenge aur yah dekhenge ki kya aapne unke problem ka
sabse acha solution dia hai ya nahi. Agar dia hai toh vah aapko
chunenge.
3. Decision/Nirnay
Jo bhi vyakti yaha tak aah pahunchta hai, unke pass aapke company
ya brand ke bare mein jo basic jankari hai vah rehti hai. So, yaha
par vah log aur bhi jada khoj bin karte hai aapke pricing ke upar,
packaging options ke upar. Sales page, webinars, aur personal
calls bahut jyada jaruri is charan par kyunki yah aapko madad
karegi kisi bhi customer ko saman bechne mein
4. Action/Karya
Aapne jitna bhi mehnat kiya hai ya aapne jitna bhi kam kia hai
vah sara cheez is charan mein nirbhar karegi, ki jo vyakti hai
usne aapse aapka product ya service kharida hai ki nahi. Agar nahi
kharidta hai toh koi baat nahi aap campaigns kar sakte ho isse aapka jo Funnel hai wo aur jada chauda ho
jayega aur jada se jada log aapke website par visit karenge.
Funnel Kaise Banaye?
Sales Funnel banane ke liye yah kuch 5 steps hai jo aapko ek
basic idea degi.
1. Ek Landing Page Banaye.
Landing page ek first impression ki tarah hoti hai kyunki yahi par ek
vyakti ko aapke company ke bare mein pata chalta hai. Toh jab koi
vyakti kisi vigyapan par click karta hai, webinar par sign up karta
hai, ya ebook download karta hai vah direct landing page par chala
jata hai. Aapke page se yah saaf pata chalna chahiye ki aap ek company
ke roop mein kon hai aur aap se unko kya anokha lav milega. Aur sabse
important aapko yah dhyan rakhna hai ki aapke landing page mein forms
ho jisse ki aap informations collect kar sake jese ki email address
taki aap unke ke sath aage tak baat kar sake.
2. Kuch Value(Mulya) Pradan Kare.
Yaha pe aapko aapke visitor ko kuch mulya cheez pradan karni hogi unke
email address ke badle jese ki ek Lead Magnet, jo ki bahut hi
pravabhit prastab rehta hai dene ke liye aapke landing page se.
3. Poshan(Nurture) Karna Suru Kare.
Is samay jo vyakti hai vah Awareness(Jagrukta) stage se
Interested(Dilchaspi) stage mein chala jata hai. Aur kyunki aapke pass
unke email addresses hai jo aapne landing page se collect kiya hai toh
aapko continuously unhen unke email mein kuch acha educational content
bhejna hoga jisse unko kuch value mile aur hum yah bhi keh sakte hai
ki aap unko email ke duara poshan kare.
4. Upsell(Grahakon ko manane ki koshish kare).
Jaise-jaise yah log nirnay lene ke charan mein aate hai, aapko kuch
acha and interesting offer dena hoga jisse ki vah direct kharidne ki
decision lele, jesse ki product ka demo, extended free trial, ya special discount.
6. Chalte Rehne Do.
Yah Action Phase hai, chahe koi vyakti aapse product kharide ya na
kharide aap ko apna communication jari rakhna hai. Naye customer par
jada focus kare aur jisne nahi kharida hai unko monthly basis pe kuch
acha content(Lead) provide kare email ke duara.
Funnel Marketing Ke Fayde.
Funnel Marketing ka jo basic foundation hai use samajhna utna
mushkil nahi hai, aur funnel marketing ke bahut sare fayde hai.
- Personalized(vyaktigat) leads ke madhyam se sales badhana.
- Sales bandh karne ke liye team ko aasani hoti hai aur leads ke bare mein jaldi jankari milti hai.
- Aapke leads ke bich jagrukta aur visvash paida karti hai jisse aap ek brand value bana sake.
- System ke swachalit hone ke karan bahut kam trutiyaan milna.
Yah sabhi factors aapko adhik leads banane mein aur teji se deals ko
bandh karne mein madad karti hai, iske alava aap apne business ko
optimized cost par tej gati se aage badha sakte hai.
FAQs
Q: Funnel marketing kya hai?
A: Funnel marketing ek tarika hai jisme aap apne target
audience ko ek series of steps se guzarne ke liye guide karte hai,
jisse unhe ek specific goal tak pahuchaya ja sake. Isme aap audience
ke har stage me alag-alag content aur messaging ka use karte hai.
Q: Funnel marketing ke stages kya hai?
A: Funnel marketing me 3 stages hote hai: Top of the funnel
(TOFU), Middle of the funnel (MOFU), aur Bottom of the funnel
(BOFU). TOFU me aap apni target audience ko attract karte hai, MOFU
me aap unhe educate aur nurture karte hai, aur BOFU me aap unhe
convert karte hai.
Q: Funnel marketing kaam kaise karta hai?
A: Funnel marketing kaam karta hai jaise ki aap apne target
audience ko TOFU, MOFU, aur BOFU ke stages se guzarte hue guide
karte hai. Har stage me aap different content aur messaging ka use
karte hai. Isse aap apne audience ko engage karte hai aur unhe apne
brand aur offerings ke baare me aware banate hai.
Q: Funnel marketing ke fayde kya hai?
A: Funnel marketing ke bahut sare fayde hai jaise ki aap apne
target audience ko ek personalized aur relevant experience provide
karte hai, aap unhe educate aur nurture karte hai, aur unhe ek
specific goal tak pahuchane me help karte hai. Iske alava, aap apne
marketing efforts ko target aur optimize kar sakte hai aur apni
sales aur revenue ko increase kar sakte hai.
Q: Funnel marketing ke liye content kaise create kare?
A: Funnel marketing ke liye content aapke target audience ke
journey aur stage ke according hona chahiye. TOFU ke liye aap
content ko create kare jisse aap apne audience ko attract kar sake,
MOFU ke liye aap educational aur informative content ko create kare,
aur BOFU ke liye aap promotional aur convincing content ko create
kare. Iske alava, aap different formats ka use kar sakte hai jaise
ki videos, blog posts, infographics, case studies, etc.
Q: Funnel marketing ke liye metrics kya hai?
A: Funnel marketing ke liye metrics aapke goal aur stage ke
according vary karte hai. TOFU ke liye metrics me impressions,
reach, aur engagement rate shamil hai, MOFU ke liye metrics me lead
generation aur lead nurturing ko track kiya jaata hai, aur BOFU ke
liye metrics me conversion rate aur sales ko track kiya jaata hai.
Q: Funnel marketing ka ROI kaise calculate kare?
A: Funnel marketing ka ROI calculate karne ke liye aapko apne
revenue aur marketing cost ko consider karna hoga. Iske alava, aapko
apne conversion rate aur customer lifetime value ko bhi consider
karna hoga. ROI calculate karne se aap apni marketing efforts ki
profitability ko measure kar sakte hai.
COMMENTS