SEO ek process jaha pe bahut sare steps include hote hai jisko effectively use karke kisi bhi website ya koibhi content ko google par rank..
Hello friends aap sabka welcome hai hotdl.in par aal ka topic aap sab padhne
ja rahe hai uska nam SEO hai. Muje pata kisi-kisi ko ye nam suna-suna sa lag
raha hai aur kisi ko bilkul bhi idea nahi hai ki kya hai SEO.
Aaj ke time par bahut important role play karta hai SEO kyunki iske madad se
aap apna business expand kar sakte hai aur apne digital content ko top par
rank karwa sakte hai. Simple shabd me bole toh SEO apko marketing business
world me bahut aage badha sakta hai.
Aap puch sakte hai ki SEO full form kya hai?
SEO kya hai?
Basically SEO, Search Engine optimization ka short form hai. SEO ek process
jaha pe bahut sare steps include hote hai jisko effectively use karke kisi bhi
website ya koibhi content ko google par rank karwa sakte hai.
Toh aap question kar sakte hai ki ads se bhi toh hum apne site ko google par
rank karwa sakte hai then SEO aur ads me kya difference hua. So my friends SEO
orgainc hota hai ya apko apne site ko rank karne ke liye paise pay nahi karna
hota hai jabki ads me apko paise deke apne site rank karna hota hai.
SEO me aap content ko optimize karte hai aur google khud ba khud apke site ko
search engine ke result page par rank kar deta hai. Udaharan ke taur par
suppose kisi ne google par search kia "
HinglishBlogin"
jaha hinglish par article likha jata hai.
Aur apke pas bhi ek site hai jo is keyword se match karta hai aur aap chahte
ki apka site top par rank kare aur log apke site access kare jo ke bilkul easy
nahi hai. Yahi pe optoimization ka role play hota hai aur isi process ko SEO
marketing kaha jata hai.
Toh friends basically is post ka yahi maksat hai ki aap search engine kaise
kam karta hai taki aap us hisab se apne content ko optimize karke apne site
google par rank kar sake. Aur mein bar-bar google isiliye mention kar raha hun
kyunki world ke 75% searches google par hota hai.
SEO kitne prakar ke hai?
Jab hum SEO ki baat karte hai aur SEO ko bade picture mein dekhte hai to hume
ye pata chalta hai ki SEO ke importantly 3 prakar/types hai.
- On-page SEO
- Of-page SEO
- Technical SEO
On-page SEO kya hai
Apne site par quality content likhna taki google par site ka ranking acha ho
jaye. On-page SEO par bahut sare factors add karte hai jese ki high traffic
keyword, quality content, regualr content post karna, metatags, image alt-tags
use karna aur apne site par inter linking karna .
Of-page SEO kya hai
Apne site ke andar bina koi changes karke koi esa action lena jise ki apka
site ranking kare use Of-page SEO khate hai. Simple shabd me apne website ke
bahar hum jo optimization karte hai use Of-page SEO khate hai. Yaha jo factors
include hote hai wo hai backlinks create karna, esa content banana ki log
share karne me majbur ho jaye.
Jab aap backlinks create karte hai use ye hota hai ki higher domain authority
sites ka juice apke website par pass ho jata hai jo ranking me madad karta
hai.
Technical SEO
Apne site ko bahut ache tarike se search console par index karna taki google's
bot ke liye apke website ko crawl karna aur index karna easy ho jaye.
SEO ka mahatv kya hai?
- Organic search result: SEO ka ek fayeda ye hai ki search engine result page(SERP) par bina koi payment karke apka site top list par aah jata hai jo users ke question ka most relevant answer hota hai. Bahut sare ads bhi hote hai (SERPs) par list ho jate hai lekin wo organic search results se alag hote hai.
- Organic traffic ki matra: Ise fayeda ye hai ki agar manlo apne "best mobile" ke upar ek article likha hai aur SEO ke chalte apka site top par rank ho gya toh agar koi" best mobile" search karta hai toh use apka page sabse upar dikhega jiske chalte wo apka site click karega aur isse apke website me bhari matra par organic traffic ayenge.
- Organic traffic ki quality: Iska matlab apke site par wohi log ayenge jisko apka content chahiye ya wo log jo apka content dhund raha hai ise apke website par conversion rate badh jayenge aur apka bouncing rate bhi jayda nahi hoga.
FAQs
Q: SEO kya hai?
A: SEO (Search Engine Optimization) ek aisi digital marketing
technique hai jisme website ko search engine me better visibility aur
ranking dene ke liye optimize kiya jaata hai.
Q: Search engine me better ranking ke liye kya karna padta hai?
A: Search engine me better ranking ke liye aapko apne website ka
content optimize karna padta hai. Iske liye aapko apne target audience ke
liye valuable aur relevant content create karna chahiye, jisme aapke
target keywords ka use hona chahiye.
Q: Keyword kya hai aur iska importance kya hai?
A: Keyword wo words hai jinhe user search engine me enter karta hai
apne query ke liye. Keyword optimization, aapke content ko search engine
ke liye relevant aur valuable banata hai aur aapke website ko higher
ranking me laane me help karta hai.
Q: On-page SEO aur off-page SEO me kya antar hai?
A: On-page SEO wo techniques hai jinhe aap apne website ke andar
kar sakte hai, jaise ki content optimization, keyword optimization, meta
tags, aur internal linking. Off-page SEO wo techniques hai jo aapke
website ke bahar hote hai jaise ki backlinking aur social media marketing.
Q: Backlinks kya hai aur kaise important hai?
A: Backlinks wo links hai jo dusre websites se aapke website ki
taraf jate hai. Backlinks aapke website ke credibility aur authority ko
improve karte hai aur aapke website ko higher ranking me laane me help
karte hai.
Q: SEO ke liye tools aur techniques kya hai?
A: SEO ke liye bahut sare tools aur techniques hai jaise ki Google
Analytics, Google Search Console, aur keyword research tools. Techniques
me on-page optimization, off-page optimization, aur technical SEO shamil
hai.
Q: Black hat SEO kya hai aur iska kya effect hota hai?
A: Black hat SEO wo techniques hai jinhe search engines ke
guidelines ke against kiya jaata hai, jaise ki keyword stuffing, cloaking,
aur link farming. Iska effect hai ki search engines aapke website ko
penalize kar dete hai aur aapke website ka ranking ghat jaata hai.
Q: SEO ka future kya hai?
A: SEO ka future bahut bright hai aur iski importance digital
marketing me continue grow kar rahi hai. Search engines apne algorithms
aur features ko improve kar rahe hai aur SEO experts ko apne strategies ko
accordingly update karna padta hai.
Q: SEO ke liye kya skills aur knowledge chahiye?
A: SEO ke liye aapko strong analytical skills, digital marketing
knowledge, aur technical skills chahiye. Iske alava, aapko search engine
algorithms aur updates ko closely monitor karna aur apne strategies ko
update karna bhi zaroori hai.
Q: SEO ko improve kaise kiya ja sakta hai?
A: SEO ko improve karne ke liye aapko apne website ka content
optimize karna chahiye, keyword research aur optimization karna chahiye,
aur high-quality backlinks generate karna chahiye. Iske alava, aapko
search engine algorithms aur updates ko regularly monitor karna aur apne
strategies ko accordingly update karna chahiye.
COMMENTS