Internet ke madad se alag-alag services (media, educational, etc.) ko logon tak deliver karne ko cloud computing kahte hai.
Swagat hai hinglishblog.in par agar apko humare website ka content acha lage
toh please humein support kare. Aaj ka blogpost ek ese technology ke upar hone
wala hai jo humare day-to-day life ka ek important part ban chuka hai. Mein
Cloud Computing ke bare mein baat kar raha hun.
Jab hum cloud ki baat karte hai toh bahut logon yah lagta hai ki hum sky wale cloud ki baat kar rahe hai jabki esa bilkul nahi hai. Cloud computing ek technical term hai jo pura ka pura ek advanced aur naya technology par based hai.
Doston agar apko pata hai ki cloud computing kya hai? toh apna views comment section par share kar sakte hai, aur jin logon ko cloud computing ke bare nahi pata unko mein bata dun ki aap daily is tech ko use karte hai. Udaharan ke taur par google drive, google photos, facebook, netfix, etc.
Cloud Computing Kya Hai?
Internet ke madad se alag-alag services (media, educational, etc.) ko logon
tak deliver karne ko cloud computing kahte hai. In services mein
alag-alag applications aur tools shamil hai jaise ki data storage, server,
database, networking, aur softwares.
Cloud ko yaha hum ek virtual space ke tarah mante hai jiska server room kahi
na kahi hoga par apke samne physically present nahi hoga jaha aap har tarah ke
information store ho sakte hai. Cloud se aap information le sakte hai aur
cloud mein information dal bhi sakte hai.
Yaha hum data yah file ko hard drive, pendrive, aur local devices mein store
nahi karte hai balki cloud based storage ke madad se remote database mein save
karte hai. Electronic devices jaise ki mobile phones, computers ke madad se
hum cloud se koi bhi data yah software ko access kar sakte hai apne kam ke
liye.
Aaj ke time par cloud computing bahut hi popular hai logon ke bich,
users is technology ko bahut hi pasand karte hai kyunki cloud computing ne in
users ke daily life ko bahut hi asan bana diya hai. Business ke purpose ko
lekar log cloud computing ka upayog karte hai kyunki
cloud computing bahut hi efficient, cost saving, fast
performance service provide karta hai aur apke data ko acha security bhi
provide karta hai.
Cloud Computing Kaise Kam karta hai?
Is technology ka nam cloud computing kyun hai? Kyunki yaha se jo information
yah services hum access karte hai wo information yah service ek virtual space
mein present hota hai. Aur mene phele hi mention kar diya tha virtual space ko
hi cloud kahte hai, aur isiliye is tech ka nam cloud computing hai.
Cloud computing apke device se data transfer, processing,
crunching karne me shamil har ek kathin kam kar leta hai. Jitne bhi heavy
work hai ye unhe bhi ek bade se computer cluster me move kar deta hai dur
kahi cyberspace par.
Jo internet hai wo apka cloud ban jata hai fir dunia ke kisi bhi kone se
aap apne data, work, application ko apne device me internet ke madad se
access kar sakte hai. Cloud
computing public aur private dono ho
sakte hai. Public cloud service apne users ko internet se free mein
service provide karta hai.
Jabki private cloud service kuch logon tak hi simit hai, ye ek networks
based service hai jo hosted service provide karta
hai. Hybrid options bhi hota hai jaha par apko public aur
private dono service ek sath provide kiya jata pay as you go basis
par
Cloud computing alag-alag prakar ke hote hai jo apke use par depend karta
hai. Har cloud service same nahi hota hai, bahut sare clouds ke model,
types, service hote hai jo apke need ka sahi aur satik solution pradan karti
hai.
Phele apko ye pata karna hai ki aap konse prakar ke cloud deployment ko implement karna chahte hai. Aap cloud service ko 3 alag-alag type
se deploy kar sakte hai: public cloud, private cloud, aur hybrid
cloud.
- Public: Public clouds ko third-party cloud service provider own aur operate karta hai. Ye apne computing resources jese ki servers, storage ko free me internet me deliver karta hai. Yaha ke sare hardware, software, supporting infrastructure ko cloud provider own and manage karta hai. Aap web browser ke duara in services ko access kar sakte hai.
- Private: Private clouds unko bola jata hai jo specially kisi ek business karne walo ya koi organization duara use kiya jata hai. Private cloud aksar company ke datacentre me located hota hai. Yaha pe services aur supporting infrastructure private network par maintain aur manage kiya jata hai.
- Hybrid: Hybrid clouds private aur public clouds ke combination se banta hai. Yaha data aur application in dono ke bich share hote rehte hai. Aur isiliye hybrid cloud bahut felxible hai business karne ke liye. Yaha jyada deployment ka options milta hai aur infrastructure, security, compliance ko optimise karna bahut easy hota hai.
Cloud computing services
Cloud computing basically 3 types ke hote hai aur inko stack bhi khete hai
kyunki inka banawat ek ke upar ek jesa hota hai. Agar apko pata rahega ye
kya hai aur inka differences kya hai toh apko business me maharat hasil
karne me asani hogi.
1. Infrastructure as a service(IaaS): Cloud computing ka sabse
basic category hai. IaaS me apko infrastructure, server, virtual machine,
storage, operating system rent me milti hai cloud provider ke duara
pay-as-you-go basis par. Matlab service use karne se phele pay karna padta
hai.
2. Platform as a service(PaaS): Ye un services ko refer karta hai
jo users ke on demand par ek esa environment create karta hai jaha user
kisi bhi application ko develop kar sake, testing kar sake, manage kar
sake, aur logon tak deliver kar sake. Ye service designed hi isiliye kiya
gya hai taki developers asani se web page, mobile apps bana sake bina kisi
storage, server, database, managing, aur infrastructure ke tension kiye
huye.
3. Software as a service(SaaS): Software applications ko internet
me deliver karne ki ek method hai, jo users ke on-demand ya subscription
par based hai. Yaha cloud provider hi software application, infrastructure
ko manage karta hai aur maintenance ko bhi handle karta hai jese ki
software updates, security patching. Users yaha internet, devices ke web
browser ke madad se software applications se connect hote hai.
Cloud computing ke fayede?
- Cost: Cloud computing bahut lagat prabhabi hai yaha apko hardware, software, electric supply ke liye karch nahi karna hota hai aur infrastructure, server ko manage bhi nahi karna hota hai.
- Speed: Cloud computing self-service provide karta hai on demand par jiske chalte bade-bade resources bhi kam time par deliver kar sakta hai bas kuch clicks karke.
- Productivity: On-site datacenters par bahut jyada kam karna padta hai like hardware setup, software patching, aur anya time consuming kam. Cloud computing in sabko hata deta hai jike karan users apne goal par maximum focus kar pata hai.
- Performance: Bade cloud computing services secure datacenter ke worldwide network par run karti hai jo regularly apne computing hardware ko fast aur efficient banane ke liye latest generation me upgrade hota rehta hai. Benefit yahi hai ki network latency kam ho jata hai.
- Security: Jayda tar cloud provider apko alag-alag prakar ke policies, technologies, controls offer karta hai jo apke security majboot banata hai aur potential threats se bachata hai.
- Reliability: Cloud computing apka data backup kar sakte hai, disaster proof hai. Business karna asan aur lagat prabhabi ho jata hai kyunki cloud apne network ke koi bhi site par apka data multiple time copy karke save rakh sakta hai.
Cloud computing kaha upayog karte hai?
Apko pata nahi hoga lekin har din aap cloud computing ka use karte hai.
Agar aap online services ka use karte jese ki email bhejna, movies dekhna,
gaana sunna, documents edit karna, games khelna, files store karna toh
aapko pata hona chahiye cloud computing yaha behind the scene kam karta
hai.
- Store, back up, aur data recover karna: Apke data ko internet par secure offsite cloud storage system me transfer karke apke data ko protect karta hai bahut hi kam karch me jo ki kisi bhi location aur device se access kiya ja sakta hai.
- Video aur audio streaming: Aap apne audience se connect ho sakte hai kabhi bhi kahi bhi kisi bhi device par wo bhi high definition audio aur video quality ke sath.
- On demand software pradan karna: Ise software as a service(SaaS) bhi bol sakte hai. Ye apko allow karta hai apne customers ko latest aur updated software versions pradan karne me.
COMMENTS