Pradhan mantri kisan samman nidhi (PM kisan) ek scheme hai jo kendriya sarkar duara kisan bhaiyon ke liye shuru kia gya hai.
Namaste hinglishblog.in par aap logon ka
swagat hai. Aaj ke blog post par hum ek scheme (yojana) ke bare mein baat
karne wale hai jo Indian government duara introduced kiya gaya hai. Is scheme
ka nam Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi Yojana (PM Kisan kya hai?) hai.
Jaise ki humein pata hai Bharat mein natural resources ki koi kami nahi hai,
humare desh ek bahut hi hara-bhara desh hai, aur humare yaha ke logon ka
khan-pan western deshon se bahut hi alag hai. Hum Indians desi khana pasand
karte hai.
Hum apne khane mein jo bhi raw materials use karte hai usse humare kisan bhai
log yani ki farmers produced karte hai. Bahut farmers ese hote hai jo in raw
materials jaise ki rice, vegetables, fruits, etc. ko bade scale mein produced
karte hai kyunki un farmers ke pas kheti karne ke liye bahut sare jamin hote
hai.
Lekin kuch kisan bhai ese bhi hai jinke pas kheti karne ke liye bahut kam
jamin hota hai, Toh in chote-mote kisan bhaiyon ko support karne ke liye
government of India ne yah scheme introduce kiya hai. Government, PM-Kisan yojana ke chalte salana in kisan bhaiyon ko minimum Rs 6000 ka aarthik
support pradan karegi.
PM Kisan Yojana Kya Hai?
Pradhan mantri kisan samman nidhi (PM kisan) ek scheme hai jo kendriya sarkar
duara kisan bhaiyon ke liye shuru kiya gya hai jiske chalte unko salana Rs
6000 ka aarthik support milega. Aur is scheme mein 100% funding Indian
government duara kiya jayega. 1/12/2018 ko Indian govt. ne PM-Kisan yojana ko launch kiya tha.
Agar apko nahi pata toh mein yah bata du ki PM-Kisan yojana
ka total budget Rs 75,000 crore ka hai, aur is scheme ke madad se 125 million
kisan bhaiyon aur unke parivaron ko aarthik madad milegi.
PM Kisan yojana kaise kam karegi?
Is scheme ke madhyam se Bharat ke sabhi chote-mote kisan bhaiyon aur unke
parivaron ko (wife/son/daughter under 18) salana Rs 6000 ka income support
government of India ke taraf se milega jo ki 3 installment mein diye jayenge,
Rs 2000 har 4 mahine mein.
Jo rashi hai wo directly kisan bhaiyon ke bank account mein bhej diye jayenge
yah fir unke parivar ke kisi sadasya ke bank account mein.
Kon PM Kisan scheme ka fayeda utha sakte hai?
- Chote-mote kisan bhai (jinke pas 4.9 acer se kam jamin hai farming ke liye).
- Jinke pas khud ka jamin ho kheti karne ke liye.
- Gram aur seher dono jagah ke kisan is scheme ka fayeda utha sakte hai.
Kin logon ke liye PM Kisan scheme nahi hai?
- Jo income tax pay karte hai.
- Naukri karne wale government/private jaise ki doctors, engineers, lawyers.
- Retired vyakti jinko Rs 10,000 monthly pension milta hai.
- Jo vyakti ya uska parivar ka koi sadasya politics se jura ho.
- Sarkari naukri karne wale state/central.
PM Kisan scheme mein register kaise kare?
Agar is scheme ke liye registration karna hai toh apko local land revenue
officer (patwari) ya nodal officer (state govt.) ke pas jana hoga. Common
service centers (CSCs) ko bhi authority di gayi hai kisanon ka registration
karwane ka lekin uske liye apko fee pay karna hoga.
PM Kisan mein registration karne ke liye konse documents chahiye?
- Aadhaar Card
- Citizenship Certificate
- Jamin ke dastavej
- Bank account details
FAQs
1. PM Kisan Samman Nidhi Yojana kab shuru hui?
Ans: 1/12/2018 ko PM Kisan launch hua tha.
2. PM Kisan ka full form kya hai?
Ans: Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi Yojana hai.
3. PM Kisan Yojana kiske liye hai?
Ans: PM kisan yojana chote-mote kisano ke liye hai.
COMMENTS